Amel Soname Contact

agar kisi ko hum se contact karna ha to wo email ka zarya hum se contact kareen . dhoka bazoo se hoshyaar rahe jo amel soname naam ki jaise email,website, ya social media websites per id ya telephone number dal kar logo ko dhoka de rahe ha or apna app ko amel soname naam ka bohat bara Amel ya jadugar bata kar logo se paisa lay rahe ha . hamara ahsa logo se koi talooq nahi ha or na he hamara ahsa logo se kohi talooq ha jo amel soname naam se astana ya office khul ka betha ha . hamare kohi telephone support nahi ha. hamare sirf email support ha .is email k ilawa hamare kohi dosare email support nahi ha .email yeah ha amel_soname@yahoo.com

hamara is website www.amelsoname.com se kohi talooq nahi ha yeah hamare nahi ha or na he hum se munsalik ha


Monday, October 24, 2011

Istikhara ka zikar hadees pak main

As salamu allaiqum
Hazrate jabir bin Abdullah razi Allah anho farmate ha k rasool Allah salal laho allai wasalam sahaba ikram razi Allah talah anho ko tamam kamo main istikhara itni ahmiyat se sekhate tha jesa quan majid ki sorate ki taleem deta tha (tirmizi)
Ake hadith main janab rasool Allah salal laho allai wasalam ny irshad farmaya . yani Allah tala se istikhara ka chor dena or na karna insane k liya bad bakti or bad nasibi main shomar hota ha
Hazrate saad bin waqas razi Allah anho se rewayat ha k nabi salal laho allai wasalam ka irshad girami ha insane k saad or nake bakti yeah ha k apna kamo main istikhara kareen or bad nasibi yeah ha k istikhara chor beta , or insane ki kush nasibi is main ha k is k bare main kiya gahe Allah k her faisala per razi rahe or badbakti yeah ha k wo Allah ka faisala per narazgee ka izhar kareen
Ake hadees main hazoor pak salal laho allai wasalam ny farmaya yani jo admi apna mamlat main istikhara karta ho wo kabe be nakam nahi hoga , or jo shaks apna kamo main mashvara karta ho is ko kabe be sharmindage ya pachtawa na karna pare ga k main na yeah kam q kya ?ya mana yeah kam q nahi kiya



Amel Soname Contact 

agar apko kohi be sawal karna ha to mujha direct contact kareen. is email ka ilawa  hamare kohi or dosare kisi be kisam ki  help support nahi ha 

dua main yaad rakhya ga 
amel soname
amel_soname@yahoo.com






Sunday, October 23, 2011

Istakhara ka matlab kya ha ?

AS salamu allaiqum

Istakhara ka matlab ha Allah tala se mashvara karna . yani jab be kohi naya kam karna ja rahe ho to istakhara ka zarya Allah tala se mashvara kiya jata ha . ya app u be keh sakte ha k Allah tala se balahe talab karna . istakhara karna wala insane wesa he amal karta ha to .
Allah tala se request karta ha k main jo yeah kam karna ja raha ho mera haq main theek ha ya nahi to mujha ishara farmade . phir jesa ishara main ishara milta ha to


Amel Soname Contact 

agar apko kohi be sawal karna ha to mujha direct contact kareen. is email ka ilawa  hamare kohi or dosare kisi be kisam ki  help support nahi ha 

dua main yaad rakhya ga 
amel soname
amel_soname@yahoo.com






Istikhara ki ahmiyat

As salamu allaiqum
Hamare islami mashare main istakhara ki bohat ahmiyat ha . takrebon bohat se log ha jinn ko istikhara ki ahmiyat ka andaza ha . or wo is ko janta ha laken bohat se log istakhara ko nahi janta .istikhara karna wala ka sab se bara benefit yeah ha ka wo nooksan se bachta ha matlab istikhara karna walay ko jo be usko hidayat milti ha istakhara ka through wo nooksan se bach ja ta ha . bazz okat kohi be insane new kam karna jar aha ho or agar wo istakhara karleen agar wo us ka haq main sai nahi hota to wo bohat bare takleef or pareshani se bach jata ha . abb khod socha jo shaks Allah se mashvara kar raha ho apna kam k liya Allah wo ha jis ka pass gayab ka ilm ha jo kahinat ka malik ha jo sab kuch janta ha jo insane se 70 maho se zada pyar karta ha abb agar insane Allah ki hidayat per amal kareen ga to inshallah uso faida he hoga


Amel Soname Contact 

agar apko kohi be sawal karna ha to mujha direct contact kareen. is email ka ilawa  hamare kohi or dosare kisi be kisam ki  help support nahi ha 

dua main yaad rakhya ga 
amel soname
amel_soname@yahoo.com






Istikhara karna ka waquat

As salamu allaiqum

Istikhara karna ka kohi waquat mokarar nahi ha . app kisi be waquat kar sakte ha . bazz log yeah samjhta ha k istikhara hamesha raat ko sote waquat he karna chaheya ya isha ka baad he karna chaheya. Ahsa kohi zaroore nahi belka jab be moka mila ushe waquat karna chaheya . app per na kohi raat ki kaid ha or na he kohi din ki kaid ha .
Istikhara karna k liya yeah cheez bohat zaroore ha k full concentrate ho ka kareen takka app apna maksad main kamyab ho or Allah talah app ki rehnomahe farmahe amen



Amel Soname Contact 

agar apko kohi be sawal karna ha to mujha direct contact kareen. is email ka ilawa  hamare kohi or dosare kisi be kisam ki  help support nahi ha 

dua main yaad rakhya ga 
amel soname
amel_soname@yahoo.com






Istikhara ka zarya khoweb main halat maloom karna

As salamu allaiqum
Bazz log jab istikhara karte ha to unko hidayat khoweb ka zarya milti ha . amoman yeah mana jata ha k bazz log yeah kehta ha k istikhara karna ka baad khoweb ahe ga or khoweb ka zarya ha ko bataya jahe ga k yeah kam kiya jahe ya nahi or bazz logo ka yeah be mana ha ka khoweb main ishara kiya jata ha . laken yeah baat be yaad rakhe k bohat se log ahsa be ha jinn ko khoweb ate ha . or bohat se log ahsa be ha k jinn ko khoweb he nahi ate . bohat se logo ko bakaheda khoweb main hidayat ki jate ha or bohat se logo ko kuch maloom nahi parta .jinn logo ko khoweb nahi ata wo mayous na ho belka istikhara ka amal ko roz ana kareen jab tak khoweb na ahe inshallah umeed ha ka 11 din k under under khoweb main rehnomahe ho jahe gee


Amel Soname Contact 

agar apko kohi be sawal karna ha to mujha direct contact kareen. is email ka ilawa  hamare kohi or dosare kisi be kisam ki  help support nahi ha 

dua main yaad rakhya ga 
amel soname
amel_soname@yahoo.com






Istikhara ka sunnat tareeqa

AS salamu allaiqum

Sunnat ka motabik istikhara ka bohat assan sa tareqa ha . yeah app kisi be time kar sakta ha .raat din ki kohi pabandi nahi ha .laken yah baat yaad rahe ka nafil ki adah karna k khilaf ka waquat na ho . 2 rakat nafil istikhara ki niyat se pareheya .niyat yeah kareen k mera samna yeah mamla ya masla ha ,is main jo raasta mera haq main bahtar ho Allah talah is ka faisala farmaden .

Salam phair kar namaz k baad istikhara ki wo masnon dua magah jo Rasool pak salal laho allai wasalam na talqeen farmahe ha .



Raat ko jab app sohe to kibla rookh ho kar sohe inshallah jis kam ki niyat hogee Allah talah khoweb main ishara farma den ga
Ishara ki alamateen
Kam main kamyabi ka ishara yeah ha
Khoweb main sabaz ya safaid deakha . ya dil main is kam k faida mand hona ki rahe jam jahe
Kam main nakamyabi ka yeah ishara ha
Khoweb main kala ya lal deakha ya dil main is kam k nakami ki rahe jam jahe
Agar kohi ahsa khoweb na ahe to istikhara us waquat tak kareen jab tak rahe dil main na jam jahe . 7 bar karna behtar ha


Amel Soname Contact 

agar apko kohi be sawal karna ha to mujha direct contact kareen. is email ka ilawa  hamare kohi or dosare kisi be kisam ki  help support nahi ha 

dua main yaad rakhya ga 
amel soname
amel_soname@yahoo.com






Jadugar ko khoweb main deak na ka istikhara

As salamu allaiqum

Agar kisi k picha kohi jadugar lag gaya ho or wo bar bar jadu kar raha ho . ya kohi kala jadu ka ahsa victim jis pe bar bar jadu hota ho agar wo yeah chahe ka akhir kon mujh pe jadu kar raha ha .to due noor ka zarya se khoweb main wo shaks deak jahe ga .tareeqa bohat assan ha isha ki namaz k baad jab her kam se belkul farag ho choka ho yani jab sona ka time ho to wazu kar ka ahe apna bister pe beth kar 11 dafa darood pareen jo kohi sa be ata ho us ka baad dua e noor 9 dafa pareen phir darood pareen 11 dafa or yeah dua kareen . Ya allah jo kohi be mujh per jadu kar raha ha mera dushman ya agar kohi karva raha ha to too us ka chera khoweb main mujha waze tor pe deakha de . yeah dua mang ka so jahe . or yeah sochta howa sohe ka kon jadu kar raha ha . inshallah talah 3 din ka under he result mil jahe ga agar 3 din main kamyabi nahi hote to phir isko 11 din tak kareen . phir apko jadu karna walay ya karwana wala khoweb main deak jahe ga . note yeah amal alag kamre main kareen or tanhahe main kareen takka jald result milay






Amel Soname Contact 

agar apko kohi be sawal karna ha to mujha direct contact kareen. is email ka ilawa  hamare kohi or dosare kisi be kisam ki  help support nahi ha 

dua main yaad rakhya ga 
amel soname
amel_soname@yahoo.com






Shadi k istikhara ka tareeqa

As salamu allaiqum
Jab be kisi be mard ya orate ka rishta ahe to us ko chaheya ka wo Allah talah se mashvara kar k kadam othae khod se apna faisala na kareen . q k yeah ha pore zeendage ka mamla . Allah tala rehman ha raheem ha or kareen be ha . agar insane Allah tala se mashvara kar k kam kareen to wo bohat se takleefo or pareshanio se bach jata ha . is liya apna zeendage ka sab se bare kam yani shadi main Allah tala ki raza ko shamil zaroor kareen . is istikhara ka bohat he simple sa tareeqa ha
Agar larki ha to larki ki mah ya larki be kar sakte ha . agar larka ha to wo khod kareen ya phir apni mah ko bolay . istikhara karna walay raat ka time room main akala sohe or kohi be kisi be kisam ki distabance na ho . tareeqa bohat simple sa ha jab raat ko sona ja rahe ho to wazu karleen or phir apna bister pe beth ka he 11 bar darood pareen jo be ata ho phir 33 dafa surah falaq pareen phir 11 dafa darood pareen or yeah dua manga agar larki ha to is tarah kahe ya Allah fala bin fala (larka ka naam or uski mother ka naam kahe) ka rishta aiya ha agar yeah larka mera haq main behtar ha to too mujha khoweb main waze tor per bata de ya deakha de agar behtar nahi ha to be khoweb main waze tor pe bata de ya deakha de . agar larka ha to is tarah kahe ya Allah fala binte fala (larki ka naam or uski mother ka naam kahe) ka rishta aiya ha agar yeah larki mera haq main behtar ha to too mujha khoweb main waze tor per bata de ya deakha de agar behtar nahi ha to be khoweb main waze tor pe bata de ya deakha de or so jahe yeah baat yaad rakhe k bister pak ho 3 din ka under inshallah result a jahe ga agar 3 din main nahi aiya to phir 11 din tak kareen


Amel Soname Contact 

agar apko kohi be sawal karna ha to mujha direct contact kareen. is email ka ilawa  hamare kohi or dosare kisi be kisam ki  help support nahi ha 

dua main yaad rakhya ga 
amel soname
amel_soname@yahoo.com






Popular Posts